Meri Diwangi Ki Had Na Puchho Tum Kahan Tak Hai
meri diwangi ki had na puchho tum kahan tak hai
zamin par hun magar meri rasai la-makan tak hai
tera jalwa to aise aam hai sare zamane mein
wahin tak dekh sakta hai nazar jis ki jahan tak hai
kisi ko kya KHabar ehsas hai lekin mere dil ko
ki us ke pyar ki barsat mere dasht-e-jaan tak hai
zara barq-e-sitam se puchh leta kash koi ye
tere qahr-o-ghazab ka silsila aaKHir kahan tak hai
hamin chubhte hain kyun kanTon ki surat aankh mein teri
fasadi ka nishana kyun hamare hi makan tak hai
tawajjoh KHak ke zarron ki jaanib kyun karen 'afzal'
nazar apni mah-o-parwin tak hai kahkashan tak hai
(1043) Peoples Rate This