LuTa Raha Hun Main Lal-o-gohar Andhere Mein

luTa raha hun main lal-o-gohar andhere mein

talash karti hai kis ko nazar andhere mein

wo jis ki rah mein main ne diye jalae the

gaya wo shaKHs mujhe chhoD kar andhere mein

charagh kaun uTha le gaya mere ghar se

sisak rahe hain mere baam-o-dar andhere mein

tha tirgi ke janaze pe ek hashr bapa

jo us ke aane se phaili KHabar andhere mein

koi hatheli pe phirta hai aaftab liye

bhaTak raha hai koi dar-ba-dar andhere mein

mein koh-e-nur hun nadan tujhe KHabar bhi nahin

mujhe chhupane ki koshish na kar andhere mein

musafiron ko wo rahen dikhaega 'afzal'

charagh rakh do sar-e-rahguzar andhere mein

(946) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

LuTa Raha Hun Main Lal-o-gohar Andhere Mein In English By Famous Poet Afzal Allahabadi. LuTa Raha Hun Main Lal-o-gohar Andhere Mein is written by Afzal Allahabadi. Read famous Poem LuTa Raha Hun Main Lal-o-gohar Andhere Mein for youth and Student by Afzal Allahabadi. Free Download LuTa Raha Hun Main Lal-o-gohar Andhere Mein in PDF.