Ghamon Ki Dhup Mein Milte Hain Saeban Ban Kar
ghamon ki dhup mein milte hain saeban ban kar
zamin pe rahte hain kuchh log aasman ban kar
uDe hain jo tere qadmon se KHak ke zarre
chamak rahe hain falak par wo kahkashan ban kar
jinhen nasib hui hai tere badan ki nasim
mahak rahe hain zamin par wo gulsitan ban kar
mein iztirab ke aalam mein raqs karta raha
kabhi ghubar ki surat kabhi dhuan ban kar
meri sadaon ko ab to panah mil jae
tujhe pukar raha hun teri zaban ban kar
main is zamin ki wusat pe sair karta hun
falak ke chand sitaron ka raaz-dan ban kar
masarraton ki faza mein sada wo rahte hain
jo gham ke maron se milte hain mehrban ban kar
unhin ko shan-e-chaman ye zamana kahta hai
chaman ko luT rahe hain jo baghban ban kar
main harf harf jise paDh chuka hun ai 'afzal'
waraq waraq pe wo bikhra hai dastan ban kar
(871) Peoples Rate This