Bulandi Se Kabhi Wo Aashnai Kar Nahin Sakta
bulandi se kabhi wo aashnai kar nahin sakta
jo tere aastane ki gadai kar nahin sakta
zaban rakhte hue bhi lab-kushai kar nahin sakta
koi qatra samundar se laDai kar nahin sakta
tu jugnu hai faqat raaton ke daman mein basera kar
main suraj hun tu mujh se aashnai kar nahin sakta
KHudi ki daulat-e-uzma KHuda ne mujh ko baKHshi hai
qalandar hun main shahon ki gadai kar nahin sakta
sifat firaun ki tujh mein hai main musa ka hami hun
kabhi taslim main teri KHudai kar nahin sakta
jo zindan mein aziyyat par aziyyat mujh ko deta hai
main us zalim se ummid-e-rihai kar nahin sakta
jo kamtar hai baDai apni apne munh se karta hai
magar 'afzal' kabhi apni baDai kar nahin sakta
(1053) Peoples Rate This