Zindagi Hamare Liye Kitna Aasan Kar Di Gai Hai

zindagi hamare liye kitna aasan kar di gai hai

hum kisi bhi riayati faroKHt mein

kitaben

kapDe jute

hasil kar sakte hain

jaisa ki gandum hamein imdadi qimat par muhayya ki jati hai

agar hum chahen

kisi bhi kar-KHane ke darwaze se

bachchon ke liye

rad-karda biscuit KHarid sakte hain

tamam tayyaron rail-gaDiyon bason mein hamare liye

sasti nashishten rakhi jati hain

agar hum chahen

mamuli zarurat ki qimat par

theater mein aaKHiri qatar mein baiTh sakte hain

hum kisi ko bhi yaad aa sakte hain

jab use koi aur yaad na aa raha ho

(964) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Hamare Liye Kitna Aasan Kar Di Gai Hai In English By Famous Poet Afzal Ahmad Syed. Zindagi Hamare Liye Kitna Aasan Kar Di Gai Hai is written by Afzal Ahmad Syed. Read famous Poem Zindagi Hamare Liye Kitna Aasan Kar Di Gai Hai for youth and Student by Afzal Ahmad Syed. Free Download Zindagi Hamare Liye Kitna Aasan Kar Di Gai Hai in PDF.