Kaun Shaer Rah Sakta Hai
lafz apni jagah se aage nikal jate hain
aur zindagi ka nizam toD dete hain
apne jaise lafzon ka gaTh bana lete hain
aur TuT jate hain
un ke TuTe hue kinaron par
nazmen marne lagti hain
lafz apni saKHt aur taqdir mein
kamzor ho jate hain
mamuli shikast un ko KHatm kar deti hai
un mein
TuT kar juD jaane se mohabbat nahin rah jati
in lafzon se
bad-surat aur be-tartib nazmen banne lagti hain
saffaki se kaT diye jaane ke baad
un ki jagah lene ko
ek aur khep aa jati hai
nazmon ko mar jaane se bachane ke liye
har roz un lafzon ko juda karna paDta hai
aur un jaise lafzon ke hamle se pahle
nae lafz phunchane paDte hain
jo aisa kar sakta hai
shaer rah sakta hai
(817) Peoples Rate This