Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8087399390f0af10f62d1ef1a0bcdea3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hamein Bhul Jaana Chahiye - Afzal Ahmad Syed Poetry In English - Darsaal

Hamein Bhul Jaana Chahiye

us inT ko bhul jaana chahiye

jis ke niche hamare ghar ki chabi hai

jo ek KHwab mein TuT gaya

hamein bhul jaana chahiye

us bose ko

jo machhli ke kanTe ki tarah hamare gale mein phans gaya

aur nahin nikalta

us zard rang ko bhul jaana chahiye

jo suraj-mukhi se alahida diya gaya

jab hum apni dopahar ka bayan kar rahe the

hamein bhul jaana chahiye

us aadmi ko

jo apne faqe par

lohe ki chadaren bichhata hai

us laDki ko bhul jaana chahiye

jo waqt ko

dawaon ki shishon mein band karti hai

hamein bhul jaana chahiye

us malbe se

jis ka nam dil hai

kisi ko zinda nikala ja sakta hai

hamein kuchh lafzon ko bilkul bhul jaana chahiye

maslan

bani-nau-e-insan

(1098) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamein Bhul Jaana Chahiye In English By Famous Poet Afzal Ahmad Syed. Hamein Bhul Jaana Chahiye is written by Afzal Ahmad Syed. Read famous Poem Hamein Bhul Jaana Chahiye for youth and Student by Afzal Ahmad Syed. Free Download Hamein Bhul Jaana Chahiye in PDF.