Agar Hum Git Na Gate
hamein mani malum hain
us zindagi ke
jo hum guzar rahe hain
un pattharon ka wazn malum hai
jo hamari be-parwai se
un chizon mein tabdil ho gae
jin ki KHub-surati mein
hamari zindagi ne koi izafa nahin kiya
hum ne apne dil ko
us waqt
qurban-gah par rakhe jaane wale phulon mein
mahsus kiya
jab hum
zaKHmi ghoDon ke julus ke pichhe chal rahe the
shikast hamara KHuda hai
marne ke baad hum usi ki parastish karenge
hum us shaKHs ki maut marenge
jis ne taklifon ke baad dam toDa
zindagi kabhi na jaan sakti
hum us se kiya chahte the
agar hum git na gate
(816) Peoples Rate This