Kabhi Na KHud Ko Bad-andesh-e-dasht-o-dar Rakkha
kabhi na KHud ko bad-andesh-e-dasht-o-dar rakkha
utar ke chah mein patal ka safar rakkha
yahi bahut the mujhe nan o aab o shama o gul
safar-nazhad tha asbab muKHtasar rakkha
hawa-e-sham-e-dil-azar ko asir kiya
aur us ko dasht mein pan-chakkiyon ke ghar rakkha
wo ek reg-gazida si nahr chalne lagi
jo main ne chum ke paikan kaman par rakkha
wo aai aur wahin taqchon mein phul rakhe
jo main ne nazr ke patthar pe jaanwar rakkha
jabin ke zaKHm pe misqal-e-KHak rakkhi aur
ek alwida ka shugun us ke hath par rakkha
giraft tez rakkhi raKHsh-e-umr par main ne
bajae jumbish-e-mahmez-e-nishtar rakkha
(777) Peoples Rate This