Gira To Gir Ke Sar-e-KHak-e-ibtizal Aaya
gira to gir ke sar-e-KHak-e-ibtizal aaya
main tegh-e-tez tha lekin mujhe zawal aaya
ajab hua ki sitara-shanas se mil kar
shikast-e-anjum-e-nau-KHez ka KHayal aaya
main KHak-e-sard pe soya to mere pahlu mein
phir ek KHwab-e-shikast aaina-misal aaya
kaman-e-shaKH se gul kis hadaf ko jate hain
nasheb-e-KHak mein ja kar mujhe KHayal aaya
koi nahin tha magar sahil-e-tamanna par
hawa-e-sham mein jab rang-e-indimal aaya
yahi hai wasl dil-e-kam-muamla ke liye
ki aaine mein wo KHurshid-e-KHadd-o-KHal aaya
(796) Peoples Rate This