Bahut Na Hausala-e-izz-o-jah Mujhse Hua
bahut na hausala-e-izz-o-jah mujh se hua
faqat faraaz-e-nagin-o-nigah mujh se hua
charagh-e-shab ne mujhe apne KHwab mein dekha
sitara-e-sahari KHush-nigah mujh se hua
giraft-e-kuza se ek KHak meri samt baDhi
saf-e-sarab koi sadd-e-rah mujh se hua
shab-e-fasana-o-farsang us se mil aaya
jo mawara-e-safed-o-siyah mujh se hua
sar-e-gurez-o-guman us ne imtihan liya
jo ham-kanar mera kam-nigah mujh se hua
Kaman-e-KHana-e-aflak ke muqabil bhi
main us se aur wo phir kaj-kulah mujh se hua
jo sail-e-hijrat-e-gul tha mere qadam se ruka
kamand lamha-e-sad-ishtibah mujh se hua
niyam-zad na hui mujh se tegh-e-hairani
shikaste-e-aina-e-intibah mujh se hua
(996) Peoples Rate This