Jab Apnon Se Dur Parae Des Mein Rahna PaDta Hai

jab apnon se dur parae des mein rahna paDta hai

san-guman na hon jis ka wo dukh bhi sahna paDta hai

KHud ko marna paDta hai is aaTe dal ke chakkar mein

do kauDi ke aadmi ko bhi sahab kahna paDta hai

banjar hoti jati ho jab pal pal yaadon ki wadi

dariya ban kar apni hi aaankhon se bahna paDta hai

mahrumi ki chadar oDhe tanha qaidi ki manind

KHalam-KHali diwaron ke andar rahna paDta hai

baaten karni paDti hain diwar pe baiThe kawwe se

is chiDiya se sare din ka qissa kahna paDta hai

(984) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Apnon Se Dur Parae Des Mein Rahna PaDta Hai In English By Famous Poet Afzaal Firdaus. Jab Apnon Se Dur Parae Des Mein Rahna PaDta Hai is written by Afzaal Firdaus. Read famous Poem Jab Apnon Se Dur Parae Des Mein Rahna PaDta Hai for youth and Student by Afzaal Firdaus. Free Download Jab Apnon Se Dur Parae Des Mein Rahna PaDta Hai in PDF.