Is Tarah Sataya Hai Pareshan Kiya Hai

is tarah sataya hai pareshan kiya hai

goya ki mohabbat nahin ehsan kiya hai

tujh ko hi nahin mujh ko bhi hairan kiya hai

is dil ne baDa hum ko pareshan kiya hai

socha tha ki tum dusron jaise nahin hoge

tum ne bhi wahi kaam meri jaan kiya hai

har roz sajate hain teri yaad ke ghunche

aankhon ko tere hijr mein gul-dan kiya hai

mushkil tha bahut mere liye tark-e-talluq

ye kaam bhi tum ne mera aasan kiya hai

ye dil ka nagar aise to viran tha kab se

la-raib ise aap ne sunsan kiya hai

ye izzat-o-namus sabhi us ki ata hai

wo jis ne gaDariye ko bhi sultan kiya hai

(1070) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Tarah Sataya Hai Pareshan Kiya Hai In English By Famous Poet Afzaal Firdaus. Is Tarah Sataya Hai Pareshan Kiya Hai is written by Afzaal Firdaus. Read famous Poem Is Tarah Sataya Hai Pareshan Kiya Hai for youth and Student by Afzaal Firdaus. Free Download Is Tarah Sataya Hai Pareshan Kiya Hai in PDF.