Yaaden
raat ke gahre sannaTe mein
main ghar ke aangan mein tanha
chand ko kab se dekh raha hun
dil ki diwaron ko kab se
gham ki dimak chaT rahi hai
zehn ke lambe se kamre mein
mere mazi ki almari
jis ke donon hi dar wa hain
ghaur se mujh ko dekh rahi hai
ji mein ye aata hai mere
mazi ki is almari se
jis mein buri bhali sab yaaden
upar niche chuni hui hain
chand suhani yaaden le lun
aur saja lun dil mein apne
lekin soch ke ye Darta hun
gham ki dimak un yaadon ko
do hi pal mein chaT na jae
yaadon ki ye pyari shaklen
phir main kaise dekh sakunga!
(800) Peoples Rate This