Pahli TariKH
dard ki saaton se ghabra kar
filon se dilon ko bahla kar
kya bataen ki kis tarah hum ne
teri furqat mein din guzare hain
teri aamad hamare chehre par
aaj ek tazgi si le aai
lekin is aarzi masarrat ko
KHub achchhi tarah samajhte hain
chand lamhon mein ye nae kaghaz
hum se is tarah dur bhagenge
jis tarah chand qarz-daron ki
pichha karti hui nigahon se
pure ek mah hum farar rahe
kal se phir ai sada-bahaar dulhan
raat din intizar mein tere
koh-e-gham se sar apna phoDenge
tujh se rishta kabhi na toDenge
(760) Peoples Rate This