Talash-e-qafiya Mein Umr Sab Guzari Hai
talash-e-qafiya mein umr sab guzari hai
tu puKHtagi jise kahta hai KHam-kari hai
sabhi hain apne magar ajnabi se lagte hain
ye zindagi hai ki hotel mein shab guzari hai
wo sare din raha daftar mein aur raat Dhale
nazar ke kase mein ek KHwab ka bhikari hai
kuchh aisa bichhDa hun KHud se ki mil nahin sakta
agarche kaam ba-zahir ye iKHtiyari hai
na jaane kyun meri aankhon mein chubh rahi hai aaj
safed sari pe jo ye siyah dhaari hai
mujhe class mein aksar ye qaul yaad aaya
wo kaamyab moallim hai jo madari hai
(868) Peoples Rate This