Sabhi BichhaD Gae Mujhse Guzarte Pal Ki Tarah
sabhi bichhaD gae mujh se guzarte pal ki tarah
main gir chuka hun kisi KHwab ke mahal ki tarah
nawah-e-jism mein rota-karahta din-raat
mujhe Daraata hai koi meri ajal ki tarah
ye shahr hai yahan apni hi justuju mein log
milenge chalte hue chiyunTiyon ke dal ki tarah
main us se milta raha aaj ki tawaqqo par
wo mujh se dur raha aane wale kal ki tarah
nagar mein zehn ke phir sham se hai sannaTa
udas udas hai dil 'mir' ki ghazal ki tarah
niDhaal dekh ke bistar mein nind ki pariyan
phir aaj mujh se KHafa ho gai hain kal ki tarah
(1120) Peoples Rate This