Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5aff4faa6c434c3493c58572633e7530, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aazurdagi Ka Uski Zara Mujhko Pas Tha - Aftab Shamsi Poetry In English - Darsaal

Aazurdagi Ka Uski Zara Mujhko Pas Tha

aazurdagi ka us ki zara mujh ko pas tha

main warna aaj us se zyaada udas tha

suraj nahin tha dur sawa neze se magar

meri ana ka saya mere aas pas tha

ab aa ke so gaya hai samundar ki god mein

dariya mein warna shor hi us ki asas tha

ruhen uThin gale milin wapas chali gain

is raaz ke chhupane ko tan par libas tha

paDh kar jise ubharne lagen an-ginat sawal

aise hi ek fasane ka wo iqtibas tha

ab aa ke barf pighli hai kuchh e'tiqad ki

jis ko yaqin samajhte rahe hum qayas tha

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aazurdagi Ka Uski Zara Mujhko Pas Tha In English By Famous Poet Aftab Shamsi. Aazurdagi Ka Uski Zara Mujhko Pas Tha is written by Aftab Shamsi. Read famous Poem Aazurdagi Ka Uski Zara Mujhko Pas Tha for youth and Student by Aftab Shamsi. Free Download Aazurdagi Ka Uski Zara Mujhko Pas Tha in PDF.