Yahan-wahan Se Idhar-udhar Se Na Jaane Kaise Kahan Se Nikle
yahan-wahan se idhar-udhar se na jaane kaise kahan se nikle
KHushi se jine ki justuju mein hazar gham ek jaan se nikle
ye kamtari bartari ke fitne ye aam-o-ala ke sard jhagDe
hamin ne nazo se dil mein pale hamare hi darmiyan se nikle
KHulus ki guftugu to chhoDo kisi ko fursat nahin hai KHud se
miyan ghanimat samajh lo shikwe agar kisi ki zaban se nikle
jo baad muddat mila kahin wo gile yun aankhon se us ki ubhre
ke jaise patthar sadi purane kisi shikasta makan se nikle
ye shahr-e-gham ki gali gali mein jo KHwar phirte hain kuchh diwane
kabhi hue hain jahan se ruswa kabhi tere aastan se nikle
(2009) Peoples Rate This