Kaho Bulbul Ko Le Jawe Chaman Se Aashiyan Apna
kaho bulbul ko le jawe chaman se aashiyan apna
paDhe gar sad hazar afsun na hoga baghban apna
chali jab bagh se bulbul luTa kar KHanuman apna
na chhoDa hae bulbul ne chaman mein kuchh nishan apna
na tu ne gul kiya apna na bulbul baghban apna
chaman mein kis tarah siti banaya KHanuman apna
uTha kar le chali bulbul chaman se aashiyan apna
kaha gul se ki le ye bewafa hum se makan apna
hui jab bagh se ruKHsat kaha ro ro ke ya qismat
likha tha yun ki fasl-e-gul mein chhoDen KHanuman apna
are sayyaad yun chahe to ji aur jaan se hazir
wa-lekin tauq-e-qamri ki tarah kar ke nishan apna
mera jalta hai ji is bulbul-e-bekas ki ghurbat par
ki gul ke aasre par yun luTaya yan KHanuman apna
alam kar is tarah roi ki ruswa ho gai bulbul
Dubaya hae aankhon ne tamami KHanuman apna
magar dil se bana rakhna ali gauhar se pyare ko
wo shahi go ki rakhta hai wale hai mehrban apna
(2805) Peoples Rate This