Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_189accfdc1eced540ec6338116910853, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kaya Ka Karb - Aftab Iqbal Shamim Poetry In English - Darsaal

Kaya Ka Karb

us ne dekha

wo akela apni aankhon ki adalat mein

khaDa tha

be-kashish auqat mein banTi hui sadiyan

kisi jallad ke qadmon ki aawazen musalsal

sun rahi thin

aane wale mausamon ke nauhagar muddat se

apni bebasi ka zahr pi kar

mar chuke the

us ne chaha

band kamre ki salaKHen toD kar bahar nikal jae

magar shaKHon se murjhae hue patton ki surat

hath us ke bazuon se

gir chuke the

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaya Ka Karb In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Kaya Ka Karb is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Kaya Ka Karb for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Kaya Ka Karb in PDF.