Diwar-e-chin
kahan se phaila hua hai ye silsila kahan tak
guzar gaya sail himmaton ka
bana ke ye kos kos sadiyon ki rahguzar si
pahaD chilla chaDhi kamanon se tir phenken
to aasman gir paDe zamin par
rawan-dawan waqt ke bahao mein
ek lambi daraD jaise paDi hui hai
azim diwar sar uThae khaDi hui hai
jhuke hue aasman ke niche
jo is sahife ko aks-dar-aks banTta hai
ye razmiya jo lahu ki shaffaf raushni se
likha gaya hai
zamin pe chingariyan uDate hue wo aae
jo bazuon se bulandiyon ka KHiraj
lete rahe
shikam ko anaj de kar
mashaqqaten jin ki bandiyan thin
lahu ke namkin zaiqe
raqs karte rahte the
jin ke honTon ke aastan par
kaDakti aawaz jabr ke chabukon ki bijli
inhi pahaDon pe kaundti thi
yahin pe mehnat ke naqsh-gar ne
lahu ke pani mein sang gundhe
sada-e-tisha uThi to kohon se phuT niklin
baqa ki nahren
zamin ko us ki bulandiyon ki taraf uThaya
ufuq ko bandha ufuq se us ne
qadim quwwat ke raKHsh ne das hazar li masafaton mein
fana ke tatariyon ke lashkar ko mat de di
yahin pe mehnat ke naqsh-gar ne
silon ko pahna diye salasil
baTe hue KHudgiraft qilon ki baD toDi
isi ne kohon ke sar pe gaDha
hazimaton nusraton ka parcham
kushud kar ke jise uDaya
kai zamanon ke warison ne
jo uD raha hai
nasheb ko aasman ki jaanib uDa raha hai
jo kal ko kal se mila raha hai
(1341) Peoples Rate This