Ye Jo Thahra Hua Manzar Hai Badalta Hi Nahin
ye jo Thahra hua manzar hai badalta hi nahin
waqia parda-e-saat se nikalta hi nahin
aag se tez koi chiz kahan se laun
mom se narm hai wo aur pighalta hi nahin
ye meri KHams-hawasi ki tamasha-gahen
tang hain un mein mera shauq bahalta hi nahin
paikar-e-KHak hain aur KHak mein hai saql bahut
jism ka wazn talab hum se sambhalta hi nahin
ghaaliban waqt mujhe chhoD gaya hai pichhe
ye jo sikka hai meri jeb mein chalta hi nahin
hum pe ghazlen bhi namazon ki tarah farz huin
qarz na-KHwasta aisa hai ki Talta hi nahin
(960) Peoples Rate This