Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0996b0f1353dfa01591fe8fd4a74b797, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Aasman Ke DaraKHshinda Rahiyon Jaisa - Aftab Iqbal Shamim Poetry In English - Darsaal

Wo Aasman Ke DaraKHshinda Rahiyon Jaisa

wo aasman ke daraKHshinda rahiyon jaisa

andheri shab mein sahar ki gawahiyon jaisa

kiran-shuur, dil-e-jahl mein utarta ja

ki waqt aan paDa hai tabahiyon jaisa

faqir-e-farda! tere nam se mila hai hamein

ye mulk-e-KHwab, teri baadshahiyon jaisa

niyaz-o-arz-e-suKHan se kahan faro howe

ghurur-o-naz ki hai kaj-kulahiyon jaisa

kaha tha kis ne ki shaKH-e-nahif se phuTen

gunah hum se hua be-gunahiyon jaisa

meri baraat kisi ajnabi ka likhkha hua

ye harf harf nawishta siyahiyon jaisa

(1068) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Aasman Ke DaraKHshinda Rahiyon Jaisa In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Wo Aasman Ke DaraKHshinda Rahiyon Jaisa is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Wo Aasman Ke DaraKHshinda Rahiyon Jaisa for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Wo Aasman Ke DaraKHshinda Rahiyon Jaisa in PDF.