Waise To Bahut Dhoya Gaya Ghar Ka Andhera
waise to bahut dhoya gaya ghar ka andhera
nikla nahin diwar ke andar ka andhera
kuchh ruashni-e-taba zaruri hai wagarna
hathon mein utar aata hai ye sar ka andhera
wo hukm ki hai aql-o-aqide pe muqaddam
chhuTne hi nahin deta muqaddar ka andhera
kya kya na abul-haul tarashe gae us se
jaise ye andhera bhi ho patthar ka andhera
deti hai yahi waqt ki tauret gawahi
zar ka jo ujala hai wo hai zar ka andhera
har aankh lagi hai ufuq-e-dar ki jaanib
suraj se kiran mangta hai Dar ka andhera
(832) Peoples Rate This