Rizq Ka Jab Nadaron Par Darwaza Band Hua
rizq ka jab nadaron par darwaza band hua
basti ke goshe goshe se shor buland hua
matla-e-be-anwar se phuTa shoKH tabassum kirnon ka
raat ke ghar mein suraj jaisa jab farzand hua
sada be-amezish jazba-e-pir faqir karamat ka
jis ke ism se mayusi ka zahr bhi qand hua
awwal awwal shor uTha sine mein aam tamanna ka
band fasilon ke gumbad mein jo do-chand hua
dukh ko samt-shanasai di gham ke qurbat-daron ne
dil dhaara dariya mil kar bahra-mand hua
chaliye apne aap se chimTe rahna to mauquf kiya
jab se rose ke samjhauton ka wo paband hua
(865) Peoples Rate This