Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1ca1832fe9a9fab6a2fe047f16257cc0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phir Bapa Shahar Mein Afraatafri Kar Jae - Aftab Iqbal Shamim Poetry In English - Darsaal

Phir Bapa Shahar Mein Afraatafri Kar Jae

phir bapa shahar mein afraatafri kar jae

koi ye sukhi hui Dar hari kar jae

jab bhi iqrar ki kuchh raushaniyan jama karun

meri tardid meri be-basari kar jae

madan-e-shab se nikale zar-e-KHushbu aa kar

aae ye moajiza baad-e-sahari kar jae

kasraten aaen nazar zat ki yaktai mein

ye tamasha kabhi aashufta-sari kar jae

lamha munsif bhi hai mujrim bhi hai majburi ka

faeda shak ka mujhe de ke bari kar jae

us ka mear hi kya roz badal jata hai

chhoDiye! wo jo agar na-qadri kar jae

(748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Bapa Shahar Mein Afraatafri Kar Jae In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Phir Bapa Shahar Mein Afraatafri Kar Jae is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Phir Bapa Shahar Mein Afraatafri Kar Jae for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Phir Bapa Shahar Mein Afraatafri Kar Jae in PDF.