Nazar Ke Samne Rahna Nazar Nahin Aana
nazar ke samne rahna nazar nahin aana
tere siwa ye kisi ko hunar nahin aana
ye intizar magar iKHtiyar mein bhi nahin
pata to hai ki use umr bhar nahin aana
ye hijraten hain zamin o zaman se aage ki
jo ja chuka hai use lauT kar nahin aana
zara si ghaib ki luknat zaban mein lao
baghair is ke suKHan mein asar nahin aana
har aane wala naya rasta dikhata hai
isi liye to hamein rah par nahin aana
zara wo dusri khiDki bhi khol kamre ki
nahin to taza hawa ne idhar nahin aana
karun masafaten na-afrida rahon ki
mujh aisa baad mein aawara-sar nahin aana
(971) Peoples Rate This