Naslen Jo Andhere Ke Mahazon Pe LaDi Hain
naslen jo andhere ke mahazon pe laDi hain
ab din ke kaTahre mein KHata-war khaDi hain
be-nam si aawaz-e-shaguft aai kahin se
kuchh patiyan shayad shajar-e-shab se jhaDi hain
niklen to shikaston ke andhere ubal aaen
rahne do jo kirnen meri aankhon mein gaDi hain
aa Dub! ubharna hai tujhe agle nagar mein
manzil bhi bulati hai saliben bhi khaDi hain
jab pas kabhi jaen to paT bheD len khaT se
kya laDkiyan sapne ke darichon mein khaDi hain
kya raat ke aashob mein wo KHud se laDa tha
aaine ke chehre pe KHarashen si paDi hain
KHamoshiyan us sahil-e-awaz se aage
patal se gahri hain, samundar se baDi hain
(814) Peoples Rate This