Misal-e-sail-e-bala Na Thahre Hawa Na Thahre
misal-e-sail-e-bala na Thahre hawa na Thahre
lagae jaen hazar pahre hawa na Thahre
kahin kahin dhup chhup-chhupa kar utar hi aai
dabiz baadal hue ikahre hawa na Thahre
waraq jab ulTe kitab-e-mausam dikhae kya kya
gulab aariz badan sunahre hawa na Thahre
wo sans umDi ki be-hison ne ghazab mein aa kar
gira diye habs ke kaTahre hawa na Thahre
kabhi badan ke ruen ruen mein hawas ubhrin
kabhi kare gosh hosh bahre hawa na Thahre
usi ki raftar-e-pa se ubhren nuqush-e-rangin
kahin pe halke kahin pe gahre hawa na Thahre
sada-e-har-su falak ke gumbad mein gunjti hai
hawa na Thahre hawa na Thahre hawa na Thahre
(959) Peoples Rate This