Kahin Sota Na Rah Jaun Sada De Kar Jagao Na
kahin sota na rah jaun sada de kar jagao na
mujhe in aaTh pahron se kabhi bahar bulao na
khuli aankhon se kab tak justuju ka KHwab dekhunga
hijab-e-haft-parda apne chehre se uThao na
sitare par sitara ok mein bahta chala aae
kisi shab kahkashan unDel kar mujh ko pilao na
jo chaho to zamane ka zamana wazhgun kar do
magar pahle hudud-e-jaan mein hangama uThao na
subuk-dosh-e-ziyan kar din ziyan-andeshiyan dil ki
zara asbab-e-duniya rah-e-duniya mein luTao na
liye jate hain lamhe reza reza kar ke aankhon ko
nihayat der se main muntazir baiTha hun aao na
(976) Peoples Rate This