Har Kisi Ka Har Kisi Se Rabta TuTa Hua
har kisi ka har kisi se rabta TuTa hua
aankh se manzar KHabar se waqia TuTa hua
kyun ye ham-surat rawan hain muKHtalif atraf mein
hai kahin se qafile ka silsila TuTa hua
wae majburi ki apna masKH chehra dekhiye
samne rakkha gaya hai aaina TuTa hua
KHud-ba-KHud badle to badle ye zamin is ke siwa
kya bashaarat de hamara hausla TuTa hua
KHwab ke aage shikast-e-KHwab ka tha samna
ye safar tha marhala-dar-marhala TuTa hua
kuchh taghaful bhi KHabardari mein shamil kijiye
warna kar Dalega pagal wahima TuTa hua
(1070) Peoples Rate This