Hanpti Naddi Mein Dam TuTa Hua Tha Lahr Ka
hanpti naddi mein dam TuTa hua tha lahr ka
waqia hai ye september ki kisi sah-pahr ka
sarsarahaT rengte lamhe ki sarkanDon mein thi
tha nasha sari faza mein naginon ke zahr ka
thi sadaf mein raushni ki bund tharrai hui
jism ke andar kahin dhaDka laga tha qahr ka
dil mein thin aise fasad-amada dil ki dhaDkanen
ho bhara balwaiyon se chauk jaise shahr ka
aasman utra kinaron ko milane ke liye
ye bhi phir dekha ki pal TuTa hua tha nahr ka
aish-e-be-miad milti par kahan milti tujhe
meri miTTi ki mahak mein shaiba hai dahr ka
(786) Peoples Rate This