Han Usi Din Dhup Mein Haryaliyan Shamil Huin
han usi din dhup mein haryaliyan shamil huin
is zamin ki zardiyon mein laliyan shamil huin
baad-e-azadi mein hum sab nachne walon ke sath
phul pahne raqs karti Daliyan shamil huin
bu-e-gul se jaaniye kyun bu-e-KHun aane lagi
bagh mein jab se teri rakhwaliyan shamil huin
qahr to us waqt TuTa tha saf-e-ada mein jab
chashm-o-lab se qatl karne waliyan shamil huin
KHair ko shar aur shar ko KHair karne mein yahan
jaaniye kin kin ki bad-amaliyan shamil huin
itna pyara ho gaya hun doston ko kya kahun
jab bhi mera zikr aaya galiyan shamil huin
(799) Peoples Rate This