Ek Fana Ke GhaT Utra Ek Pagal Ho Gaya
ek fana ke ghaT utra ek pagal ho gaya
yani mansuba zamane ka mukammal ho gaya
jism ke barfab mein aankhen chamakti hain abhi
kaun kahta hai ki us ka hausla shal ho gaya
zehn par be-samtiyon ki barishen itni huin
ye ilaqa to ghane raston ka jangal ho gaya
is kalid-e-ism-e-na-malum se kaise khule
dil ka darwaza ki andar se muqaffal ho gaya
shoala-zar-e-gul se guzre to sar-e-aghaz hi
ek sharar aankhon se utra KHun mein hal ho gaya
shahr-e-ainda ka dariya hai giraft-e-reg mein
bas ki jo hona hai us ka faisla kal ho gaya
mausam-e-taKHir-e-gul aata hai kis ke nam par
kaun hai jis ka lahu is KHak mein hal ho gaya
is qadar KHwabon ko masla pa-e-ahan-posh ne
shauq ka aain bil-aKHir moattal ho gaya
(877) Peoples Rate This