Ek Chadar-e-bosida Main Dosh Pe Rakhta Hun
ek chadar-e-bosida main dosh pe rakhta hun
aur daulat-e-duniya ko pa-posh pe rakhta hun
aankhon ko Tikata hun hangama-e-duniya par
aur kan suKHan-ha-e-KHamosh pe rakhta hun
kaifiyyat-e-be-KHabri kya chiz hai kya jaanun
buniyaad hi hone ki jab hosh pe rakhta hun
mein kaun hun azalon ki hairaniyan kya bolen
ek qarz hamesha ka main gosh pe rakhta hun
jo qarz ki mai pi kar tasKHir-e-suKHan kar le
iman usi dilli ke mai-e-nosh pe rakhta hun
(725) Peoples Rate This