Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0a2ade316f038a9676e6b40a86e3f0e8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Asir-e-hafiza Ho Aaj Ke Jahan Mein Aao - Aftab Iqbal Shamim Poetry In English - Darsaal

Asir-e-hafiza Ho Aaj Ke Jahan Mein Aao

asir-e-hafiza ho aaj ke jahan mein aao

mukalme ke liye asr ki zaban mein aao

pae sabaat-e-taghayyur pukarte hue guzre

chhaten shikasta hain niklo nae makan mein aao

zamin ka waqt se jhagDa hai KHud nipaTte rahenge

kaha hai kis ne ki tum un ke darmiyan mein aao

ye aaTh pahr ki duniya tumhein bataun ki kya hai

nikal ke jism se kuchh der apni jaan mein aao

tumhein tumhaari alif did mein main dekhna chahun

nazar bacha ke zamane se mere dhyan mein aao

(1215) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Asir-e-hafiza Ho Aaj Ke Jahan Mein Aao In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Asir-e-hafiza Ho Aaj Ke Jahan Mein Aao is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Asir-e-hafiza Ho Aaj Ke Jahan Mein Aao for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Asir-e-hafiza Ho Aaj Ke Jahan Mein Aao in PDF.