Apni Kaifiyyaten Har Aan Badalti Hui Sham
apni kaifiyyaten har aan badalti hui sham
munjamid hoti hui aur pighalti hui sham
Dagmagati hui har-gam sambhalti hui sham
KHwab-gahon se udhar KHwab mein chalti hui sham
gundh kar motiye ke haar ghani zulfon mein
aariz-o-lab pe shafaq surKHiyan malti hui sham
ek jhalak poshish-e-be-zabt se uryani ki
de gai din ke nashebon se phisalti hui sham
ek sannaTa rag-o-pai mein sada gunjta hai
bujh gai jaise lahu mein koi jalti hui sham
waqt baptisma kare aab-e-sitara se use
dast-e-duniya ki daraazi se nikalti hui sham
(832) Peoples Rate This