Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d2e5677811d3a1b44e35433031507beb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Jabr Bhi Hai Bahut IKHtiyar Karte Hue - Aftab Hussain Poetry In English - Darsaal

Ye Jabr Bhi Hai Bahut IKHtiyar Karte Hue

ye jabr bhi hai bahut iKHtiyar karte hue

guzar rahi hai tera intizar karte hue

kali khili to usi KHush-suKHan ki yaad aai

saba bhi ab ke chali sogwar karte hue

tere badan ke gulistan ki yaad aati hai

KHud apni zat ke sahra ko par karte hue

ye dil ki rah chamakti thi aaine ki tarah

guzar gaya wo use bhi ghubar karte hue

KHud apne hath ki haibat se kanp jata hun

kabhi kabhi kisi dushman pe war karte hue

(991) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jabr Bhi Hai Bahut IKHtiyar Karte Hue In English By Famous Poet Aftab Hussain. Ye Jabr Bhi Hai Bahut IKHtiyar Karte Hue is written by Aftab Hussain. Read famous Poem Ye Jabr Bhi Hai Bahut IKHtiyar Karte Hue for youth and Student by Aftab Hussain. Free Download Ye Jabr Bhi Hai Bahut IKHtiyar Karte Hue in PDF.