Wo Sar Se Panw Tak Hai Ghazab Se Bhara Hua
wo sar se panw tak hai ghazab se bhara hua
main bhi hun aaj josh-e-talab se bhara hua
shorish mere dimagh mein bhi koi kam nahin
ye shahr bhi hai shor-o-shaghab se bhara hua
han ai hawa-e-hijr hamein kuchh KHabar nahin
ye shisha-e-nashat hai jab se bhara hua
milta hai aadmi hi mujhe har maqam par
aur main hun aadmi ki talab se bhara hua
Takrao ja ke subh ke saghar se 'aftab'
dil ka ye jam wada-e-shab se bhara hua
(853) Peoples Rate This