Nigah Ke Liye Ek KHwab Bhi Ghanimat Hai
nigah ke liye ek KHwab bhi ghanimat hai
wo tirgi hai ki ye raushni ghanimat hai
chalo kahin pe talluq ki koi shakl to ho
kisi ke dil mein kisi ki kami ghanimat hai
kam o ziyaada pe israr kya kiya jae
hamare daur mein itni si bhi ghanimat hai
badal rahe hain zamane ke rang kya kya dekh
nazar uTha ki ye nazzargi ghanimat hai
na jaane waqt ki gardish dikhaegi kya ruKH
guzar rahi hai jo ye zindagi ghanimat hai
gham-e-jahan ke jhamelon mein aaftab 'husain'
KHayal-e-yar ki aasudgi ghanimat hai
(876) Peoples Rate This