Main Sochta Hun Agar Is Taraf Wo Aa Jata
main sochta hun agar is taraf wo aa jata
charagh-e-umr ki lau ek zara baDha jata
ajib bhul-bhulayyan hai rasta dil ka
yahan to KHizr bhi hota to Dagmaga jata
so apne hath se din bhi gaya hai duniya bhi
ki ek sire ko pakaDte to dusra jata
magar nahin hai wo masruf-e-naz itna bhi
kabhi kabhi to koi rabta kiya jata
kabhi wo pas bulata to ye dil-e-durwesh
bas ek ishaara-e-abru pe jhumta jata
palaT raha hun usi yar-e-mehrban ki taraf
ab is qadar bhi nahin bewafa hua jata
palaT gaya inhin qadmon se 'aftab-husain'
kahan talak wahi haalat dekhta jata
(954) Peoples Rate This