Kami Rakhta Hun Apne Kaam Ki Takmil Mein
kami rakhta hun apne kaam ki takmil mein
mabaada aap kho jaun kahin tamsil mein
bahut shiddat rahi pahle kanar-e-chashm tak
umaD aaya hai ab wo sail rud-e-nil mein
makan-e-jaan larazta hai hawa-e-hijr se
charagh-e-yaad ko rakkhenge kis qindil mein
ye ghaDiyan aah pe mujh se gurezan hain agar
to phir main kyun rahunga waqt ki tahwil mein
azab-e-barq-o-baran tha andheri raat thi
rawan thin kashtiyan kis shan se is jhil mein
(923) Peoples Rate This