Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e1e1b76c2ac7121b839d0e16f021771a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Phul Hai Hawaon Ke RuKH Par Khila Hua - Aftab Hussain Poetry In English - Darsaal

Har Phul Hai Hawaon Ke RuKH Par Khila Hua

har phul hai hawaon ke ruKH par khila hua

aur mein hun apne KHwab ke andar khila hua

ye main jo raat din nahin apne hawas mein

wo bagh hai zarur kahin par khila hua

kuchh mere sar ko bhi thi mahak si chaDhi hui

kuchh wo bhi samne tha barabar khila hua

KHwabon mein KHushbuen si KHayalon mein rang se

ye bagh ho agar kahin bahar khila hua

kin manzaron mein mujh ko mahakna tha 'aftab'

kis regzar par hun main aa kar khila hua

(801) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Phul Hai Hawaon Ke RuKH Par Khila Hua In English By Famous Poet Aftab Hussain. Har Phul Hai Hawaon Ke RuKH Par Khila Hua is written by Aftab Hussain. Read famous Poem Har Phul Hai Hawaon Ke RuKH Par Khila Hua for youth and Student by Aftab Hussain. Free Download Har Phul Hai Hawaon Ke RuKH Par Khila Hua in PDF.