Fasil-e-shahr-e-tamanna Mein Dar Banate Hue
fasil-e-shahr-e-tamanna mein dar banate hue
ye kaun dil mein dar aaya hai ghar banate hue
nasheb-e-chashm-e-tamasha bana gaya mujh ko
kahin bulandi-e-ayyam par banate hue
main kya kahun ki abhi koi pesh-raft nahin
guzar raha hun abhi rahguzar banate hue
kise KHabar hai ki kitne nujum TuT gire
shab-e-siyah se rang-e-sahar banate hue
pate ki baat bhi munh se nikal hi jati hai
kabhi kabhi koi jhuTi KHabar banate hue
magar ye dil mera ye tair-e-bahisht mera
utar hi aaya kahin mustaqar banate hue
dilon ke bab mein kya daKHl 'aftab-husain'
so baat phail gai muKHtasar banate hue
(1160) Peoples Rate This