Dekhe Koi Talluq-e-KHatir Ke Rang Bhi
dekhe koi talluq-e-KHatir ke rang bhi
us fitna-KHu se pyar bhi hai aur jang bhi
dil hi nahin hai us ke tasawwur mein shad-kaam
ek sarKHushi mein jhumta hai ang ang bhi
kuchh rabt-e-KHas asl ka zahir ke sath hai
KHushbu uDe to uDta hai phulon ka rang bhi
aisa nahin ki aaTh pahar be-dili rahe
bajte hain gham-kade mein kabhi jal-tarang bhi
dekha hai aaj us ne mujhe muD ke 'aftab'
is waqiye pe KHush bhi hun main aur dang bhi
(836) Peoples Rate This