Ye Reg-e-rawan Yaad-dahani To Nahin Kya
ye reg-e-rawan yaad-dahani to nahin kya
sahra kisi dariya ki nishani to nahin kya
dekho mera kirdar kahin par bhi nahin hai
dekho ye koi aur kahani to nahin kya
raushan hai naya aks sar-e-chashm-e-tamasha
bite hue manzar ki rawani to nahin kya
is ghar ke dar-o-baam bhi apne nahin lagte
qismat mein nai naql-e-makani to nahin kya
KHwabon pe paDi os ka matlab to yahi hai
ashkon ke jo shoale wo the pani to nahin kya
main misra-e-ula hun to aaine mein sahab
jo aks hai wo misra-e-sani to nahin kya
puchhunga kisi roz charaghon se main 'ahmad'
ye lau koi paigham zabani to nahin kya
(855) Peoples Rate This