Umr-e-rafta Main Tere Hath Bhi Kya Aaya Hun
umr-e-rafta main tere hath bhi kya aaya hun
din bitane the magar KHud ko bita aaya hun
dhul bhi aise qarine se uDai hai ki main
ek marte hue raste ko bacha aaya hun
kal ko de aaunga ja kar use binai bhi
aankh diwar pe filhaal bana aaya hun
wadi-e-saut nahin mujh ko bhulane wali
naqsh yun kar ke wahan apni sada aaya hun
sirf panw hi nahin qaid se bahar aae
apni zanjir ko bhi kar ke riha aaya hun
apne aansu bhi kiye nazr kisi pani ke
pyas dariya ki bahar-taur bujha aaya hun
zindagi tu bhi bahut yaad karegi mujh ko
tere hisse ke bhi dukh-dard uTha aaya hun
ab pareshan hun ki tabir ka jaane kya ho
band kanon ko naya KHwab suna aaya hun
jaane kis ghaT lage umr ki kashti 'ahmad'
KHud ko sukhe hue dariya mein baha aaya hun
(1808) Peoples Rate This