Kisi Nishan Se Alamat Se Ya Sanad Se Na Ho
kisi nishan se alamat se ya sanad se na ho
agar main hun to ye hona bhi KHal-o-KHad se na ho
main ek aise zamane mein basna chahta hun
zamana jis ka talluq azal abad se na ho
mere adu wo haqiqat bhi kya haqiqat hai
subut jis ka mayassar usi ke rad se na ho
isi liye to main rakhta hun KHushbuon sa mizaj
main chahta hun ki mera shumar had se na ho
banane wala hun hathon se apne farda ka
wo zaicha jo lakiron se ya adad se na ho
wajud wahima hai ai badan-nazhad samajh
ye tera saya bhi shayad tere jasad se na ho
main apna aap usi ke supurd kar dunga
ek aisa shaKHs jo amboh-e-nek-o-bad se na ho
(793) Peoples Rate This