Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b8c8f7cbbf61bb7da90d2e6d6e9323a5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Khuli Aankhon Mein Dar Aane Se Pahle - Aftab Ahmad Poetry In English - Darsaal

Khuli Aankhon Mein Dar Aane Se Pahle

khuli aankhon mein dar aane se pahle

nazar aao nazar aane se pahle

nahin tha mujh ko zoam-e-parsai

koi ilzam sar aane se pahle

hamein dar-pesh thi naql-e-makani

tera hukm-e-safar aane se pahle

gale milti hai mujh se be-ghari bhi

gali mein rose ghar aane se pahle

hua karte hain raste bhi rukawaT

guzar ja rahguzar aane se pahle

nazar-andaz kar deti thi aankhen

mujhe tujh sa nazar aane se pahle

bahut aasan tha kar-e-hunar bhi

mere hathon hunar aane se pahle

kabhi to bar-war ho jae 'ahmad'

dua bab-e-asar aane se pahle

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khuli Aankhon Mein Dar Aane Se Pahle In English By Famous Poet Aftab Ahmad. Khuli Aankhon Mein Dar Aane Se Pahle is written by Aftab Ahmad. Read famous Poem Khuli Aankhon Mein Dar Aane Se Pahle for youth and Student by Aftab Ahmad. Free Download Khuli Aankhon Mein Dar Aane Se Pahle in PDF.